Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat Di Hai

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai

tegh be-ab hai ne bazu-e-qatil kamzor

kuchh giran-jaani hai kuchh maut ne fursat di hai

is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ai gardun

na nishan mujh ko diya hai na tu naubat di hai

sanp ke kaTe ki lahren hain shab-o-roz aatin

kakul-e-yar ke saude ne aziyyat di hai

aai iksir ghani dil nahin rakhti aisa

KHaksari nahin di hai mujhe daulat di hai

shama ka apne fatila nahin kis raat jala

amal-e-hub ki bahut hum ne bhi dawat di hai

jism ko zer zamin bhi wahi pahuncha dega

ruh ko jis ne falak sair ki taqat di hai

furqat-e-yar mein ro ro ke basar karta hun

zindagani mujhe kya di hai musibat di hai

yaad-e-mahbub faramosh na howe ai dil

husn-e-niyyat ne mujhe ishq se neamat di hai

gosh paida kiye sunne ko tera zikr-e-jamal

dekhne ko tire, aankhon mein basarat di hai

lutf-e-dil-bastagi-e-ashiq-e-shaida ko na puchh

do jahan se is asiri ne faraghat di hai

kamar-e-yar ke mazmun ko bandho 'atish'

zulf-e-KHuban si rasa tum ko tabiat di hai

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat Di Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat Di Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat Di Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat Di Hai in PDF.