Aisi Wahshat Nahin Dil Ko Ki Sambhal Jaunga

aisi wahshat nahin dil ko ki sambhal jaunga

surat-e-pairahan-e-tang nikal jaunga

wo nahin hun ki rukhai se jo Tal jaunga

aaj jata tha to zid se teri kal jaunga

sham-e-hijran kisi surat se nahin hoti subh

munh chhupa kar main andhere mein nikal jaunga

khinch kar tegh kamar se kise dikhlate ho

naf-e-mashuq nahin hun jo main Tal jaunga

shab-e-hijr apni siyahi kise dikhlati hai

kuchh main laDka to nahin hun ki dahal jaunga

kucha-e-yar ka sauda hai mere sar ke sath

panw thak thak ke hon har-chand ki shal jaunga

zabt-e-betabi-e-dil ki nahin taqat baqi

koh-e-sabr ab ye sada deta hai Tal jaunga

tal-e-bad ke asar se ye yaqin hai mujh ko

teri hasrat hi mein ai husn-e-amal jaunga

chaar din zist ke guzrenge tassuf mein mujhe

haal-e-dil par kaf-e-afsos main mal jaunga

shoala-ruyon ko na dikhlao mujhe ai aankho

mom se narm mera dil hai pighal jaunga

haal-e-piri kise malum jawani mein tha

kya samajhta tha main do din mein badal jaunga

wahi diwangi meri hai bahaar aane do

dekh kar laDkon ki surat ko bahal jaunga

sher Dhalte hain meri fikr se aaj ai 'atish'

mar ke kal gor ke sanche mein main Dhal jaunga

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi Wahshat Nahin Dil Ko Ki Sambhal Jaunga In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Aisi Wahshat Nahin Dil Ko Ki Sambhal Jaunga is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Aisi Wahshat Nahin Dil Ko Ki Sambhal Jaunga for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Aisi Wahshat Nahin Dil Ko Ki Sambhal Jaunga in PDF.