Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua

bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua

chhuri jo tez hui pahle main halal hua

girau hua to use chhuTna muhaal hua

dil-e-gharib mera muflison ka mal hua

kami nahin teri dargah mein kisi shai ki

wahi mila hai jo muhtaj ka sawal hua

dikha ke chehra-e-raushan wo kahte hain sar-e-sham

wo aaftab nahin hai jise zawal hua

dukha na dil ko sanam ittihad rakhta hun

mujhe malal hua to tujhe malal hua

bujhaya aankhon ne wo ruKH talash-e-mazmun mein

KHayal-e-yar mera sher ka KHayal hua

tere shahid ke jeb-e-kafan mein ai qatil

gulal se bhi hai rang-e-abir lal hua

buland KHak-nashini ne qadr ki meri

uruj mujh ko hua jab ki paemal hua

ghazab mein yar ke shan-e-karam nazar aai

banaya sarw-e-charaghan jise nihaal hua

yaqin hai dekhte sufi to dam nikal jata

hamare wajd ke aalam mein hai jo haal hua

wo na-tawan tha irada kiya jo khane ka

gham-e-firaq ke danton mein main KHilal hua

kiya hai zar ye teri kamar ke saude ne

paDa jo aks mera aaine mein baal hua

dikhani thi na tumhein chashm-e-surmagin apni

nigah-e-naz se wahshat-zada ghazal hua

dahan-e-yar ke bose ki dil ne raghbat ki

KHayal-e-KHam kiya talib-e-muhaal hua

raha bahaar-o-KHizan mein ye haal saude ka

baDha to zulf hua ghaT gaya to KHal hua

junun mein aalam-e-tifli ki baadshahat ki

khilauna aankhon mein apni har ek ghazal hua

suna jamil bhi tera jo nam ai mahbub

hazar jaan se dil banda-e-jamal hua

likha hai aashiqon mein apne tu ne jis ka nam

phir us ka chehra nahin umr bhar bahaal hua

gunah kisi ne kiya thartharaya dil apna

araq araq hue hum jis ko infial hua

tere dahan o kamar ka jo zikr aaya yar

guman-o-wahm ko kya kya na ehtimal hua

kamal kaun sa hai wo jise zawal nahin

hazar shukr ki mujh ko na kuchh kamal hua

tumhaari abru-e-kaj ka tha duj ka dhoka

siyah hota agar id ka hilal hua

diya jo ranj tere ishq ne to rahat thi

firaq-e-talKH to shirin mujhe visal hua

wahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'atish'

jab e'tida-e-anasir mein iKHtilal hua

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua in PDF.