Barq Ko Us Par Abas Girne Ki Hain Tayyariyan

barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan

barg-e-gul hi aashiyan ko apne hai chingariyan

ahd-e-tifli mein bhi tha main bas-ki saudai-mizaj

beDiyan minnat ki bhi pahnin to main ne bhaariyan

maut ke aate hi hum ko KHud-baKHud nind aa gai

kya usi ki yaad mein karte the shab-bedariyan

ai KHat us ke gore galon par ye tu ne kya kiya

chandni raaten yakayak ho gain andhyariyan

KHanda-e-gul se sada-e-nala aati hai mujhe

KHun-e-bulbul se magar sinchi gai hain kyariyan

KHak ka putla bhi aahan se hai saKHti mein fuzun

jism par insan ke talwaren hui hain aariyan

KHauf-e-KHaliq hai wagarna mohtasib kya mal hai

KHan-e-qazi mein ja kar kijiye mai-KHwariyan

kuchh hamin KHali nahin karte hain ye dair-e-KHarab

phir gae hain yar yunhi apni apni bariyan

hukm kar 'atish' ki bazar-e-mohabbat band ho

ab karen TaTpujiye garm apni dukan-dariyan

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barq Ko Us Par Abas Girne Ki Hain Tayyariyan In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Barq Ko Us Par Abas Girne Ki Hain Tayyariyan is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Barq Ko Us Par Abas Girne Ki Hain Tayyariyan for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Barq Ko Us Par Abas Girne Ki Hain Tayyariyan in PDF.