Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi

bazar-e-dahr mein teri manzil kahan na thi

yusuf na jis mein ho koi aisi dukan na thi

zardi ne mere rang ki mujh ko rula diya

hanswae jo kisi ko ye wo zafaran na thi

zahir se KHub-ruyon ka baatin KHilaf tha

shirin-labon ki tarah se un ki zaban na thi

manzil hi dur hai jo ye pahunchi nahin hanuz

dam lene wali rah mein umr-e-rawan na thi

dikhlai sair aankhon ko baam-e-murad ki

aisi koi kamand koi nardban na thi

qaus-e-quzah se hum ne bhi tashbih di use

chilla na hone se jo wo abru kaman na thi

aagah jazb-e-ishq-e-zuleKHa se tha na husn

yusuf ko chah mein KHabar-e-karwan na thi

yaad aa gai jo silk-e-guhar tere gosh ki

suhan-e-ruh thi mujhe shab kahkashan na thi

rah jaana pichhe jism ka jaan se ajab nahin

kis karwan ki gard pas-e-karwan na thi

na-fahmi ki dalil hai ye sajda se aaya

iblis ko haqiqat-e-adam ayan na thi

aashiq ke sar ke sath hai sauda-e-ku-e-yar

momin na tha wo jis ko hawa-e-jinan na thi

bang-e-jaras se aage har ek ka qadam raha

gard apne karwan ke pas-e-karwan na thi

afsos kya jawani-e-rafta ka kijiye

wo kaun si bahaar thi jis ko KHizan na thi

nalon se ek din na kiye garm gosh-e-yar

'atish' magar tumhaare dahan mein zaban na thi

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi in PDF.