Bulbul Gulon Se Dekh Ke Tujhko BigaD Gaya

bulbul gulon se dekh ke tujh ko bigaD gaya

qumri ka tauq sarw ki gardan mein paD gaya

chin-bar-jabin na ai but-e-chin rah ghurur se

taswir ka hai aib jo chehra bigaD gaya

aai to hai pasand use chaal yar ki

sun lijo panw kabk-e-dari ka ukhaD gaya

pichhe haTa na kucha-e-qatil se apna panw

sar se taDap ke chaar qadam aage dhaD gaya

khinchi jo meri tarah se qumri ne aah-e-sard

jaDe ke mare sarw chaman mein akaD gaya

shirin ke shefta hue parwez-o-kohkan

shaer hun main ye kahta hun mazmun laD gaya

allah-re shauq apni jabin ko KHabar nahin

us but ke aastane ka patthar ragaD gaya

darman se aur dard hamara hua do-chand

marham se dagh sine mein nasur paD gaya

guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahan hua

kuDa jo us faqir ke takiye se jhaD gaya

nikla na jism se dil-e-nalan sharik-e-ruh

manzil mein rang naqa se apne bichhaD gaya

pahuncha majaz se jo haqiqat ki kunah ko

ye jaan le ki raste mein pher paD gaya

furqat ki shab mein zist ne apni wafa na ki

qabl-e-sahar charagh hamara na baDh gaya

pata hun shauq-e-wasl mein ahbab ki kami

husn-o-jamal-e-yar mein kuchh farq paD gaya

lashon ko aashiqon ke na uTTho gali se yar

basne ka phir ye ganw nahin jab ujaD gaya

dekha tujhe jo KHun-e-shahidan se surKH-posh

turk-e-falak zamin mein KHajalat se gaD gaya

barson ki rah aa ke azizan nikal gae

afsos karwan se main apne bichhaD gaya

aaya jo sharh-e-lal-e-lab-e-yar ka KHayal

jhanDa qalam ka apne badaKHshan mein gaD gaya

main nai liya baghal mein pari-ru visal ko

dew-e-firaq kashti mein mujh se bichhaD gaya

'atish' na puchh haal tu mujh dard-mand ka

sine mein dagh dagh mein nasur paD gaya

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulbul Gulon Se Dekh Ke Tujhko BigaD Gaya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Bulbul Gulon Se Dekh Ke Tujhko BigaD Gaya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Bulbul Gulon Se Dekh Ke Tujhko BigaD Gaya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Bulbul Gulon Se Dekh Ke Tujhko BigaD Gaya in PDF.