Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon

bulbul ko KHar KHar-e-dabistan hai in dinon

har tifl ki baghal mein gulistan hai in dinon

zunnar-e-ishq but mein rag-e-jaan hai in dinon

naqus-e-barhaman dil-e-nalan hai in dinon

aabaad mera KHana-e-viran hai in dinon

sailab mujh gharib ka mehman hai in dinon

daman hai apne hath mein ek rashk-e-mah ka

pesh-e-nazar hilal-e-gareban hai in dinon

bagh-e-jahan mein jo hai giraftar hai tera

aazad ek sarw-e-gulistan hai in dinon

kahte hain hum zamin mein majnun ki ab ghazal

har bait apni KHana-e-zindan hai in dinon

kafir ho ai sanam jo KHaride na tu use

mehndi ke mol KHun-e-musalman hai in dinon

hangama husn-o-ishq ka hai garm aaj-kal bahut

diwana-e-pari hai jo insan hai in dinon

masti ka un labon ke fasana kahan nahin

majlis nahin wo jo nahin hairan hai in dinon

sadqe chakor hote hain ruKHsar-e-yar ke

wo mah-e-chaar-dah mah-e-taban hai in dinon

aata hai sair-e-bagh ko wo gauhar-e-murad

phailae gul ke pas jo daman hai in dinon

qad sarw chehra gul hai to sumbul hain mu-e-yar

ghar KHana bagh hai jo wo mehman hai in dinon

jauhar-shanas jama hain 'atish' hai marka

shamshir hai wahi ki jo uryan hai in dinon

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon in PDF.