Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum

chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum

nihaal kis ko kare baghban nahin malum

mere sanam ka kisi ko makan nahin malum

KHuda ka nam suna hai nishan nahin malum

aKHir ho gae ghaflat mein din jawani ke

bahaar-e-umr hui kab KHizan nahin malum

ye ishtiyaq-e-shahadat mein mahw tha dam-e-qatl

lage hain zaKHm badan par kahan nahin malum

suna jo zikr-e-ilahi to us sanam ne kaha

ayan ko jaante hain hum nihan nahin malum

kiya hai kis ne tariq-e-suluk se aagah

murid kis ka hai pir-e-mughan nahin malum

meri tarah to nahin us ko ishq ka aazar

ye zard rahti hai kyun zafaran nahin malum

jahan o kar-e-jahan se hun be-KHabar main mast

zamin kidhar hai kahan aasman nahin malum

supurd kis ke mere baad ho amanat-e-ishq

uThae kaun ye bar-e-giran nahin malum

KHamosh aisa hua hun main kam-dimaghi se

dahan mein hai ki nahin hai zaban nahin malum

meri tumhaari mohabbat hai shohra-e-afaq

kise haqiqat-e-mah-o-katan nahin malum

kis aaine mein nahin jalwa-gar teri timsal

tujhe samajhte hain hum in-o-an nahin malum

mila tha KHizr ko kis tarah chashma-e-haiwan

hamein to yar ka apne dahan nahin malum

khuli hai KHana-e-sayyaad mein hamari aankh

qafas ko jaante hain aashiyan nahin malum

tariq-e-ishq mein diwana-war phirta hun

KHabar gaDhe ki nahin hai kuan nahin malum

jo ho to shauq hi ho ku-e-yar ka hadi

kisi ko warna sabil-e-jinan nahin malum

dahan mein aap ke albatta hum ko hujjat hai

kamar ka bhed jo puchhun miyan nahin malum

nasim-e-subh ne kaisa ye us ko bhaDkaya

hanuz aatish-e-gul ka dhuan nahin malum

sunenge waqia us ka zaban-e-sausan se

shahid kis ka hai ye arghawan nahin malum

kanar-e-ab chale daur-e-jam ya lab-e-kisht

shikar howe bat-e-mai kahan nahin malum

rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak

yaqin hai us ko tera aastan nahin malum

ajab nahin hai jo ahl-e-suKHan hon gosha-nashin

kisi dahan mein zaban ka makan nahin malum

chhuTenge zist ke phande se kis din ai 'atish'

janaza hoga kab apna rawan nahin malum

(1657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum in PDF.