Daulat-e-husn Ki Bhi Hai Kya LuT

daulat-e-husn ki bhi hai kya luT

aankhon ko paD gai hai luTa-luT

chal rahi hai dila hawa-e-bahaar

lala phula hai dagh-e-sauda luT

samne tere jo paDe ai turk

us mein kaba ho ya kalisa luT

chaar din hai bahaar ai bulbul

zar-e-gul ka hazar toDa luT

saf-e-mizhgan se kah rahi hai wo chashm

dil milen jitne be-tahasha luT

sarf-e-allah mal-e-duniya kar

mard hai kuchh to bahr-e-uqba luT

saf dil ho to jalwa-gar ho yar

aaina ho to ho tamasha luT

neamat-KHwan-e-husn jo mil jae

ye samajh le hai mann-o-salwa luT

gauhar-e-abla hue to chale

lenge diwano KHar-e-sahra luT

jaante hain ki fauj-e-jangi se

nahin sardar pher leta luT

kaam mardon ka hai ye ai 'atish'

rakhti hai jaan ka bhi khaTka luT

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daulat-e-husn Ki Bhi Hai Kya LuT In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Daulat-e-husn Ki Bhi Hai Kya LuT is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Daulat-e-husn Ki Bhi Hai Kya LuT for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Daulat-e-husn Ki Bhi Hai Kya LuT in PDF.