Dil Bahut Tang Raha Karta Hai

dil bahut tang raha karta hai

rang be-rang raha karta hai

husn mein tere koi aib nahin

qubah mein dang raha karta hai

sulh ki dil se hain yan maslihaten

wan sar-e-jang raha karta hai

mohtasib ko tere mastanon se

KHauf-e-sarchang raha karta hai

dil mera pi ke mohabbat ki sharab

nashsha mein bhang raha karta hai

farsi aar hai mujh majnun ko

nang se nang raha karta hai

jauhar-e-tegh dikhata hai husn

ishq chaurang raha karta hai

guftani haal nahin hai apna

kuchh ajab Dhang raha karta hai

halab-e-ruKH mein tere KHalon se

lashkar-e-zang raha karta hai

manzil-e-gor ke diwanon ke

sina par sang raha karta hai

aalam-e-wajd tere maston ko

be-daf-o-chang raha karta hai

KHunduq-e-dast-e-sanam se nadim

gul-e-aurang raha karta hai

tere gosh-e-shunawa ka mushtaq

har KHush-ahang raha karta hai

bandish-e-chust se teri 'atish'

qafiya tang raha karta hai

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bahut Tang Raha Karta Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Dil Bahut Tang Raha Karta Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Dil Bahut Tang Raha Karta Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Dil Bahut Tang Raha Karta Hai in PDF.