Dil Ki Kuduraten Agar Insan Se Dur Hon

dil ki kuduraten agar insan se dur hon

sare nifaq gabr o musalman se dur hon

nazdik aa chuki hai sawari bahaar ki

barg-e-KHizan-rasida gulistan se dur hon

dil is qadar gudaz hai barson hi gham rahe

aansu jo apne dida-e-giryan se dur hon

miTta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah

jauhar kabhi na KHanjar-e-burran se dur hon

fasl-e-bahaar aai hai kapDon ko phaDiye

dil ke buKHar dast-o-gareban se dur hon

chhiDkaw ka irada hai chashm-e-pur-ab ka

gard-o-ghubar kucha-e-jaanan se dur hon

ye tang kar raha hai to uljha rahe hain wo

daman ke paT pahle gareban se dur hon

wahsh o tuyur ko meri aahen karen halak

aab-o-giyah koh-o-bayaban se dur hon

mumkin nahin najat asiran-e-ishq ko

ye qaidi wo nahin ki jo zindan se dur hon

muddat ke baad aae hain sahra mein ai junun

do aable to KHar-e-mughilan se dur hon

gardish se chashm-e-yar ke 'atish' ajab nahin

jo jo amal ki gardish-e-dauran se dur hon

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Kuduraten Agar Insan Se Dur Hon In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Dil Ki Kuduraten Agar Insan Se Dur Hon is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Dil Ki Kuduraten Agar Insan Se Dur Hon for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Dil Ki Kuduraten Agar Insan Se Dur Hon in PDF.