Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi

dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi

subh tak sham se ya-hu ke siwa baat na thi

iltija tujh se kab ai qibla-e-hajat na thi

teri dargah mein kis roz munajat na thi

ab mulaqat hui hai to mulaqat rahe

na mulaqat thi jab tak ki mulaqat na thi

ghuncha-e-gul ko na hansna tha teri surat se

chhoTe se munh ki saza-war baDi baat na thi

ibtida se tujhe maujud samajhta tha main

mere tere kabhi parde ki mulaqat na thi

ai nasim-e-sahari bahr-e-asiran-e-qafas

tohfa-tar nikhat-e-gul se koi saughat na thi

un dinon ishq rulata tha hamein surat-e-abr

kaun si fasl thi wo jis mein ki barsat na thi

kya kahun us ke jo mujh par karam-e-pinhan the

zahiri yar se har-chand mulaqat na thi

apne bandhe hoe gati tujhe dekha phaDka

dilruba shai thi meri jaan teri gat na thi

ek mein mil gae ai shah-sawar ahl-e-niyaz

naz-e-mashuq tha tu sun ki tere lat na thi

lab ke bose ka hai inkar tajjub ai yar

phere sail se jo munh ko wo teri zat na thi

kamar-e-yar thi az-bas-ki nihayat nazuk

sujhti bandish-e-mazmun ki koi ghat na thi

un dinon hota tha tu ghar mein hamare shab-bash

roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqa raat na thi

be-shuuron ne na samjha to na samjha 'atish'

nukta-sanjon ko latifa thi teri baat na thi

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi in PDF.