Diwangi Ne Kya Kya Aalam Dikha Diye Hain

diwangi ne kya kya aalam dikha diye hain

pariyon ne khiDkiyon ke parde uTha diye hain

allah-re farogh us ruKHsar-e-atishin ka

shamon ke rang misl-e-kafur uDa diye hain

aatish-nafs hawa hai gulzar ki hamare

bijli giri hai ghunche jab muskura diye hain

sau bar gul ko us ne talwon tale mala hai

kaTwa ke sarw shamshad akasr jala diye hain

insan-e-KHub-ru se baqi rahe tafawut

is waste pari ko do par laga diye hain

abru-e-kaj se KHun-e-ushshaq kya ajab hai

talwar ne nishan-e-lashkar miTa diye hain

kis kis ko KHub kahiye allah ne buton ko

kya gosh o chashm kya lab kya dast-o-pa diye hain

be-yar baam par jo wahshat mein chaDh gaya hun

parnale rote rote main ne baha diye hain

wasf-e-kaman-e-abru jo kijiye so kam hai

be-tir bismilon ke tude laga diye hain

roya hun yaad kar ke main teri tund-KHui

sarsar ne jab charagh-e-raushan bujha diye hain

soz-e-dil-o-jigar ki shiddat phir aaj-kal hai

phir pahluon ke takiye mashal bana diye hain

shamon ko tu ne dil se parwanon ke utara

aankhon se bulbulon ki gulshan gira diye hain

wo baada-kash hun meri aawaz-e-pa ko sun kar

shishon ne sar huzur-e-saghar jhuka diye hain

ashkon se KHana-e-tan 'atish' KHarab hoga

qasr-e-sipihr-e-rifat baran ne Dha diye hain

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwangi Ne Kya Kya Aalam Dikha Diye Hain In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Diwangi Ne Kya Kya Aalam Dikha Diye Hain is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Diwangi Ne Kya Kya Aalam Dikha Diye Hain for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Diwangi Ne Kya Kya Aalam Dikha Diye Hain in PDF.