Fareb-e-husn Se Gabr-o-musalman Ka Chalan BigDa

fareb-e-husn se gabr-o-musalman ka chalan bigDa

KHuda ki yaad bhula shaiKH but se barhaman bigDa

qaba-e-gul ko phaDa jab mera gul-pairahan bigDa

ban aai kuchh na ghunche se jo wo ghuncha-dahan bigDa

nahin be-wajah hansna is qadar zaKHm-e-shahidan ka

teri talwar ka munh kuchh na kuchh ai tegh-zan bigDa

takalluf kya jo khoi jaan-e-shirin phoD kar sar ko

jo thi ghairat to phir KHusraw se hota kohkan bigDa

kisi chashm-e-siyah ka jab hua sabit main diwana

tu mujh se sust hathi ki tarah jangali hiran bigDa

asar iksir ka yumn-e-qadam se teri paya hai

jozami KHak-e-rah mal kar banate hain badan bigDa

teri taqlid se kabk-e-dari ne Thokaren khain

chala jab jaanwar insan ki chaal us ka chalan bigDa

zawal husn khilwata hai mewe ki qasam mujh se

lagaya dagh KHat ne aan kar seb-e-zaqan bigDa

ruKH-e-sada nahin us shoKH ka naqsh-e-adawat se

nazar aate hi aapas mein har ahl-e-anjuman bigDa

jo bad-KHu tifl-e-ashk ai chashm-e-tar hain dekhna ek din

gharaunde ki tarah se gumbad-e-charKH-e-kuhan bigDa

saf-e-mizhgan ki jumbish ka kiya iqbaal ne kushta

shahidon ke hue salar jab hum se tuman bigDa

kisi ki jab koi taqlid karta hai main rota hun

hansa gul ki tarah ghuncha jahan us ka dahan bigDa

kamal-e-dosti andesha-e-dushman nahin rakhta

kisi bhanwre se kis din koi mar-e-yasman bigDa

rahi nafrat hamesha dagh-e-uryani ko phae se

hua jab qata jama par hamare pairahan bigDa

ragaDwain ye mujh se eDiyan ghurbat mein wahshat ne

hua masdud rasta jada-e-rah-e-watan bigDa

kaha bulbul ne jab toDa gul-e-sausan ko gulchin ne

ilahi KHair kijo nil-e-ruKHsar-e-chaman bigDa

irada mere khane ka na ai zagh-o-zaghan kijo

wo kushta hun jise sunghe se kutton ka badan bigDa

amanat ki tarah rakkha zamin ne roz-e-mahshar tak

na ek mu kam hua apna na ek tar-e-kafan bigDa

jahan KHali nahin rahta kabhi iza-dahindon se

hua nasur-e-nau paida agar zaKHm-e-kuhan bigDa

tawangar tha bani thi jab tak us mahbub-e-alam se

main muflis ho gaya jis roz se wo sim-tan bigDa

lage munh bhi chiDhane dete dete galiyan sahab

zaban bigDi to bigDi thi KHabar lije dahan bigDa

banawaT kaif-e-mai se khul gai us shoKH ki 'atish'

laga kar munh se paimane ko wo paiman-shikan bigDa

(1003) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-husn Se Gabr-o-musalman Ka Chalan BigDa In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Fareb-e-husn Se Gabr-o-musalman Ka Chalan BigDa is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Fareb-e-husn Se Gabr-o-musalman Ka Chalan BigDa for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Fareb-e-husn Se Gabr-o-musalman Ka Chalan BigDa in PDF.