Ghairat-e-mahr Rashk-e-mah Ho Tum

ghairat-e-mahr rashk-e-mah ho tum

KHubsurat ho baadshah ho tum

jis ne dekha tumhein wo mar hi gaya

husn se tegh-e-be-panah ho tum

kyun-kar aankhen na hum ko dikhlao

kaise KHush-chashm KHush-nigah ho tum

husn mein aap ke hai shan-e-KHuda

ishq-bazon ke sajda-gah ho tum

har libas aap ko hai zebinda

jama-zebon ke baadshah ho tum

fauq hai sare KHush-jamalon par

wo sitare jo hain to mah ho tum

hum se parda wahi hijab ka hai

kucha-gardon se ru-barah ho tum

kyun mohabbat baDhai thi tum se

hum gunahgar be-gunah ho tum

jo ki haqq-e-wafa baja lae

shahid allah hai gawah ho tum

hai tumhaara KHayal pesh-e-nazar

jis taraf jaen sadd-e-rah ho tum

donon bande usi ke hain 'atish'

KHwah hum us mein howen KHwah ho tum

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairat-e-mahr Rashk-e-mah Ho Tum In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Ghairat-e-mahr Rashk-e-mah Ho Tum is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Ghairat-e-mahr Rashk-e-mah Ho Tum for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Ghairat-e-mahr Rashk-e-mah Ho Tum in PDF.