Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka

gham nahin go ai falak rutba hai mujh ko KHar ka

aaftab ek zard patta hai mere gulzar ka

zulf ke halqe mein uljha sabza gosh-e-yar ka

ho gaya sang-e-zamurrad KHal chashm-e-mar ka

naKHuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad

azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka

KHana-e-zanjir se misl-e-sada Darta hun ab

yaad aata hai kaf-e-pa mein khaTakna KHar ka

josh-e-girya ne kiya hai na-tawan itna mujhe

TuTna mumkin nahin hai aansuon ke tar ka

kha gai aaKHir mujhe chashm-e-siyah-e-surmagin

zarq qismat ne kiya hai zangi aadam-KHwar ka

sai-e-la-hasil mudawa-e-mariz-e-ishq hai

thamna mumkin nahin girti hui diwar ka

hath qatil ka gareban tak pahunch sakta nahin

aur fart-e-shauq hai yan zaKHm damn-dar ka

phul jo hai apne gulshan ka sipar ka phul hai

har shajar is bagh mein lata hai phal talwar ka

KHatt-e-ru-e-yar se iza uThai hai zi-bas

sabza se hota hai sadma mere dil ko KHar ka

garche pesh-e-taq-e-abru-e-sanam gesu nahin

kaba par nargha hua hai lashkar-e-kuffar ka

ai sanam teri karanji aankh se sabit hua

rang uD jata hai ru-e-mardum-e-bimar ka

yaad mein teri raqib-e-ru-siyah jaga to kya

martaba aali na ho KHuffash-e-shab-bedar ka

us pari-ru ke jo kuche ka guzarta hai KHayal

ban ke jin saya lipTa hai mujhe diwar ka

uTh ke diwar-e-lahad se murde Takraate sar

ek qayamat hai sanam aalam teri raftar ka

KHam nadamat se kiya mehrab mein kaba ke sar

gardan-e-zahid se bojh uTTha na jab zunnar ka

zindagi mein be-adab hone na de tu roab-e-husn

KHak hai meri pas-az-marg aur daman yar ka

ai sanam aashiq se ruposhi nahin lazim tujhe

parda musa se nahin allah ko didar ka

bu-e-gul 'atish' kahin hoti hai mahsus-e-nazar

afza hai roz-e-mahshar yar ke didar ka

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka in PDF.