Hai Jab Se Dast-e-yar Mein Saghar Sharab Ka

hai jab se dast-e-yar mein saghar sharab ka

kauDe ka ho gaya hai kaTora gulab ka

sayyaad ne tasalli-e-bulbul ke waste

kunj-e-qafas mein hauz bhara hai gulab ka

dariya-e-KHun kiya hai teri tegh ne rawan

hasil hua hai rutba saron ko hubab ka

jo satr hai wo gasu-e-hur-e-bahisht hai

KHal-e-pari hai nuqta hamari kitab ka

nau aasman hain safha-e-awwal ke nau lughat

kaunain ek do warqa hai apni kitab ka

ai mauj be-lihaz samajh kar miTaiyo

dariya bhi hai asir tilism-e-hubab ka

bichhwaiye na chandni mein baam par palang

manhus hai qiran mah o aaftab ka

ek tark shahsawar ki diwani ruh hai

zanjir mein hamare ho loha rikab ka

husn-o-jamal se hai zamane mein raushni

shab mahtab ki hai to roz aaftab ka

allah-re hamara takalluf shab-e-visal

roghan ke badle itr jalaya gulab ka

masjid se mai-kade mein mujhe nashsha le gaya

mauj-e-sharab jada thi rah-e-sawab ka

insaf se wo zamzama mera agar sune

dam band howe tuti-e-hazir-jawab ka

ulfat jo zulf se hai dil-e-dagh-dar ko

taus ko ye ishq na hoga sahab ka

mamur jo hua araq-e-ruKH se wo zaqan

mazmun mil gaya mujhe chah-e-gulab ka

pata hun naf ka kamar-e-yar mein maqam

chashma magar adam mein hai gauhar ki aab ka

'atish' shab-e-firaq mein puchhunga mah se

ye dagh hai diya hua kis aaftab ka

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Jab Se Dast-e-yar Mein Saghar Sharab Ka In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Hai Jab Se Dast-e-yar Mein Saghar Sharab Ka is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Hai Jab Se Dast-e-yar Mein Saghar Sharab Ka for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Hai Jab Se Dast-e-yar Mein Saghar Sharab Ka in PDF.