Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka

hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka

mushtaq hun farishta-e-sahib-jamal ka

pairahan us jawan ne jo pahna hai chhaal ka

milta nahin chaman mein mizaj ek nihaal ka

aaluda be-gunahon ke KHun se hai tegh-e-charKH

na-fahmon ko guman hai shafaq mein hilal ka

shana banenge baad-e-fana apne ustuKHan

uqda khulega gesuon ke baal baal ka

bini suhail mushtari o zohra gosh hain

qutub-e-shumal-e-husn hai til tere gal ka

kis kis bashar ko lai hai duniya fareb mein

kya kya jawan murid hai us pir-zal ka

lati hai wan qaza-o-qadar murgh-e-ruh ko

pani jahan qafas ka hai dana hai jal ka

amrad-parast hai to gulistan ki sair kar

har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka

ek dam main ja milunga azizan-e-rafta se

kya arsa hai zamana-e-mazi se haal ka

surKH o safed rang se hota hai aashkar

wo jism-e-naznin hai abir o gulal ka

ai dil qaza na aae idhar TikTiki na bandh

goli ka samna hai ye nazzara KHal ka

bosa diye se husn mein hogi kami na yar

hota nahin zakat se nuqsan mal ka

wo chashm hi nahin dil-e-wahshi ki fikr mein

har turk ko hai shauq shikar-e-ghazal ka

zanjir o tauq har baras aa kar pinha gai

diwana hun main baad-e-bahaari ki chaal ka

roz-e-siyah hijr mein mere jale charagh

parwanon ko nasib hua din visal ka

rone ke badle haal par apne hansa kiye

parda hua na fash hamare malal ka

dikhlaya be-naqab jise banda ho gaya

wo ru-e-sada-naqsh hai sahib kamal ka

karti hai yan zaban-e-kamar yar mein kalam

madum hai jawab hamare sawal ka

'atish' lahad se uTThunga kahta ye roz-e-hashr

mushtaq hun main yar ke husn-o-jamal ka

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka in PDF.