Hasrat-e-jalwa-e-didar Liye Phirti Hai

hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai

pesh-e-rozan pas-e-diwar liye phirti hai

is mashaqqat se use KHak na hoga hasil

jaan abas jism ki be-kar liye phirti hai

dekhne deti nahin us ko mujhe be-hoshi

sath kya apne ye diwar liye phirti hai

kisi fasiq ke tu munh ko na karegi kala

kyun siyahi ye shab-e-tar liye phirti hai

tu nikalta nahin shamshir-ba-kaf ai qatil

maut mere liye talwar liye phirti hai

mal-e-muflis mujhe samjha hai junun ne shayad

wahshat-e-dil sar-e-bazar liye phirti hai

kaba o dair mein wo KHana-barandaz kahan

gardish-e-kafir-o-din-dar liye phirti hai

ranj likkha hai nasibon mein mere rahat se

KHwab mein bhi hawas-e-yar liye phirti hai

chaal mein is ki sarapa hai kisi ki taqlid

kabk ko yar ki raftar liye phirti hai

dar-e-yar aae Thikane lage miTTi meri

dosh par apne saba bar liye phirti hai

hanste hain dekh ke majnun ko gul-e-sahrai

pa-barahna talab-e-KHar liye phirti hai

saya sa husn ke ham-rah hai ishq-e-bebak

sath ye jins-e-KHaridar liye phirti hai

kisi surat se nahin jaan ko farar ai 'atish'

tapish-e-dil mujhe lachaar liye phirti hai

(1390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasrat-e-jalwa-e-didar Liye Phirti Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Hasrat-e-jalwa-e-didar Liye Phirti Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Hasrat-e-jalwa-e-didar Liye Phirti Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Hasrat-e-jalwa-e-didar Liye Phirti Hai in PDF.