Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar Rah Mein Hai

hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar rah mein hai

KHizan chaman se hai jati bahaar rah mein hai

gada-nawaz koi shahsawar rah mein hai

buland aaj nihayat ghubar rah mein hai

adam ke kuch ki lazim hai fikr hasti mein

na koi shahr na koi dayar rah mein hai

na badraqa hai na koi rafiq sath apne

faqat inayat-e-parwar-digar rah mein hai

safar hai shart musafir-nawaz bahutere

hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai

maqam tak bhi hum apne pahunch hi jaenge

KHuda to dost hai dushman hazar rah mein hai

thaken jo panw to chal sar ke bal na Thahr 'atish'

gul-e-murad hai manzil mein KHar rah mein hai

(4047) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar Rah Mein Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar Rah Mein Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar Rah Mein Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar Rah Mein Hai in PDF.