Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha

is ke kuche mein masiha har sahar jata raha

be-ajal wan ek do har raat mar jata raha

ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin

dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha

jaanib-e-kohsar ja nikla jo main to kohkan

apna tesha mere sar se mar kar jata raha

ne kashish mashuq mein pata hun nai aashiq mein jazb

kya bala aai mohabbat ka asar jata raha

wah-re andher bahr-e-raushni-e-shahr-e-misr

dida-e-yaqub se nur-e-nazar jata raha

nashsha hi mein ya ilahi mai-kashon ko maut de

kya guhar ki qadr jab aab-e-guhar jata raha

ek na ek munis ki furqat ka falak ne gham diya

dard-e-dil paida hua dard-e-jigar jata raha

husn kho kar aashna hum se hua wo naunihaal

pahunche tab zer-e-shajar hum jab samar jata raha

ranj-e-duniya se faragh iza-dahindon ko nahin

kab tap-e-shir utri kis din dard-e-sar jata raha

fatiha paDhne ko aae qabr-e-'atish' par na yar

do hi din mein pas-e-ulfat is qadar jata raha

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha in PDF.