Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen

is shash-jihat mein KHub teri justuju karen

kabe mein chal ke sajda tujhe chaar-su karen

aashiq jo husn-e-pak mein kuchh guftugu karen

daman ka pichhe nam len pahle wazu karen

sharminda hun zamin mein gaDen surKH-ru karen

ustadgi jo sarw tere ru-ba-ru karen

paida karen jo tujh ko unhin ko hai dastaras

pamard hain wahi jo teri justuju karen

le ja chuki chaman mein saba bu-e-zulf-e-yar

sumbul ke silsile ko bhi barham wo mu karen

afsana-goi afi-e-gesu-e-yar mein

KHamosh hon charagh jo hum guftugu karen

diwangi ka silsila jawe na hath se

daman ko phaDiye jo gareban rafu karen

ai baadshah-e-husn faqiron ki tarah se

aashiq dua-e-KHair tujhe ku-ba-ku karen

didar-e-am kijiye parda uThaiye

ta-chand banda-ha-e-KHuda aarzu karen

masti mein mujh se be-adabi hogi yar se

mujh ko gunah-gar na jam-o-subu karen

diwan-e-husn mein se hui hai ye intiKHab

aashiq-mizaj sair-e-bayaz-e-gulu karen

wird-e-zaban hai roz-o-shab in ki sana-e-husn

shayan hai jis qadar ki ye shaer ghulu karen

likh dete hain hasinon ko hum KHatt-e-bandgi

mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-KHu karen

hairan-kar hun tere ruKHsar-e-saf ka

sakta ho aaina jo tere ru-ba-ru karen

murgh-e-chaman hon zamzama-paira bahaar aai

hangama garm shefta-e-rang-o-bu karen

tasir-dar log hain allah ke faqir

sang-e-sanam hon aab jo hum zikr-e-hu karen

maujud go ki tu hai magar chahta hai shauq

aawara hon talash teri chaar su karen

'atish' ye wo zamin hai ki jis mein ba-qaul-e-'dard'

dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen in PDF.