Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye

jaan-baKHsh lab ke ishq mein iza uThaiye

bimar ho ke naz-e-masiha uThaiye

qudsi nigah-e-lutf ke ummid-war hain

aankhen to su-e-alam-e-baala uThaiye

ab ke bahaar mein jo hamein le chale junun

chun chun ke dagh-e-lala-e-sahra uThaiye

KHama se kaam lijiye hangam-e-fikr-e-sher

maidan-e-kar-zar mein ghoDa uThaiye

dikhlae husn-e-yar ka jalwa hamein jo ishq

kis kis tarah se lutf-e-tamasha uThaiye

tujh sa hasin ho yar to kyun-kar na us ke phir

naz-e-baja o ghamza-e-beja uThaiye

muflis hun lakh par yahi dil ko bandhi hai dhun

yusuf ko qarz le ke taqaza uThaiye

fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharab

bas ho chuki namaz musalla uThaiye

jam-e-sharab-e-nab hai saqi liye khaDa

gardan to misl-e-gardan-e-mina uThaiye

aawaz ko suna ke kiye kan mustafiz

rahm aankhon par bhi kijiye parda uThaiye

josh-e-junun mein dekhiye pichhe na muD ke phir

munh jis taraf ko surat-e-dariya uThaiye

shamshir-zan ho yar bahadur jawan ho

'atish' jihad-e-ishq pe beDa uThaiye

(1281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye in PDF.