Jab Ke Ruswa Hue Inkar Hai Sach Baat Mein Kya

jab ke ruswa hue inkar hai sach baat mein kya

ai sanam lutf hai parde ki mulaqat mein kya

koi andha hi tujhe mah kahe ai KHurshid

farq hota nahin insan se din raat mein kya

yar ne wada-e-farda-e-qayamat to kiya

shak hai ai nala-e-dil teri karamat mein kya

koi but-KHane ko jata hai koi kaba ko

phir rahe gabr-o-musalman hain teri ghat mein kya

ek muddat se hun sail tere darwaze par

bosa ya gali milega mujhe KHairaat mein kya

aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere

raat andheri koi aawegi na barsat mein kya

do ghaDi ki jo mulaqat thi wo bhi mauquf

aisa paDta tha KHalal yar ki auqat mein kya

paDh ke KHat aur bhi mayus hue wasl se hum

yar ne bheja safar se hamein saughat mein kya

aatish-e-mast jo mil jae to puchhun us se

tu ne kaifiyyat uThai hai KHarabaat mein kya

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ke Ruswa Hue Inkar Hai Sach Baat Mein Kya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Jab Ke Ruswa Hue Inkar Hai Sach Baat Mein Kya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Jab Ke Ruswa Hue Inkar Hai Sach Baat Mein Kya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Jab Ke Ruswa Hue Inkar Hai Sach Baat Mein Kya in PDF.