Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule

jauhar nahin hamare hain sayyaad par khule

le kar qafas ko uD gae rakkha jo par khule

shishe sharab ke rahen aaThon pahar khule

aisa ghire ki phir na kabhi abr-e-tar khule

kuchh to hamein haqiqat-e-shams-o-qamar khule

kis kaj-kulah ke ishq mein phirte hain sar khule

insaf ko hain dida-e-ahl-e-nazar khule

parda uTha ki parda-e-shams-o-qamar khule

rangrez ki dukan mein bhare hun hazar rang

turra wo hai jo yar ki dastar par khule

kya chiz hai ibarat-e-rangin mein sharh-e-shauq

KHat ki tarah tabiat-e-basta agar khule

jo chahen yar se kahin aghyar gham nahin

KHwaja ko hain ghulam ke aib-o-hunar khule

haiwan par aadmi ko sharaf nutq se hua

shukr-e-KHuda kare jo zaban-e-bashar khule

yusuf ki ek dukan mein na tu ne talash ki

bazar kaun kaun se ai be-KHabar khule

shirin-dahan se tere tajjub hai guftugu

eajaz hai agar girah-e-naishakar khule

kaT jae wo zaban na ho jis se dua-e-KHair

phuTe wo aankh jo ki na waqt-e-sahar khule

kotah hai is qadar mere qad par rida-e-aish

Dhankun jo panw ko to yaqin hai ki sar khule

qatil jaza-e-KHair mile teri tegh ko

zaKHmon ke munh khule nahin jannat ke dar khule

fasl-e-bahaar aai hai chalta hai daur-e-jam

mugh ki dukan sham khule ya sahar khule

pa-posh hum ne mari hai dastar-o-taj par

sauda-e-zulf-e-yar mein rahte hain sar khule

kaif-e-sharab-e-nab ka anjam ho ba-KHair

shalwar-band saqi-e-rashk-e-qamar khule

na-KHwanda sharh-e-shauq jalae gae KHutut

bandhe gae wo jo ki mere nama-bar khule

chahe safa tu sath tahaarat ke zikr kar

parhez kar to tujh ko dawa ka asar khule

hans kar dikhae dant jo hum ko to kya hua

le lijiye jo qimat-e-silk-e-guhar khule

kahta hun raaz-e-ishq magar sath shart ke

kanon hi tak rahe na zaban ko KHabar khule

mushtaq bandishon ke hain KHwabon ko chahiye

bandhwaen shaeron se jo un ki kamar khule

rukti na us se choT na chalti ye qatila

hathon se tere jauhar-e-tegh-o-sipar khule

matlab na sarnawisht ka samjha tu shukr kar

diwana ho jo haal-e-qaza-o-qadar khule

chalna paDega yar ki KHidmat mein sar ke bal

samjhe ho kya jo baiThe ho 'atish' kamar khule

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Jauhar Nahin Hamare Hain Sayyaad Par Khule in PDF.