Josh-o-KHarosh Par Hai Bahaar-e-chaman Hanuz

josh-o-KHarosh par hai bahaar-e-chaman hanuz

pite hain nau-jawan sharab-e-kuhan hanuz

pata nahin main yar ko mel-e-suKHan hanuz

madum hai kamar ki tarah se dahan hanuz

barson se ro raha hun shab-o-roz muttasil

hanste hain muddaton se mere zaKHm-e-tan hanuz

ruKHsar-e-yar par nahin aaghaz-e-KHat abhi

dekha nahin in aankhon ne suraj gahan hanuz

anjam-e-kar ka nahin aata KHayal kuchh

ghurbat mein bhule baiThe hain yar-e-watan hanuz

aalam un abruon ki kaji ka jo hai so hai

bal kha rahi hai zulf-e-shikan-dar-shikan hanuz

KHilat ki kya umid rakhen aasman se hum

us ne to dab rakkha hai apna kafan hanuz

aalam hijab-e-yar ka ta-haal hai wahi

KHalwat-nashin hai raushni-e-anjuman hanuz

apne safa-e-sina ka hairan kar hai

dekha nahin hai aaine ne wo badan hanuz

har-chand bagh-e-dahr mein muddat se hun muqim

'atish' nazar paDa na wo seb-e-zaqan hanuz

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Josh-o-KHarosh Par Hai Bahaar-e-chaman Hanuz In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Josh-o-KHarosh Par Hai Bahaar-e-chaman Hanuz is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Josh-o-KHarosh Par Hai Bahaar-e-chaman Hanuz for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Josh-o-KHarosh Par Hai Bahaar-e-chaman Hanuz in PDF.