Kaam Himmat Se Jawan Mard Agar Leta Hai

kaam himmat se jawan mard agar leta hai

sanp ko mar ke ganjina-e-zar leta hai

na-gawara ko jo karta hai gawara insan

zahr pi kar maza-e-shir-o-shakar leta hai

haale mein mah ka hota hai chakoron ko yaqin

kabhi angDai jo wo rashk-e-qamar leta hai

wo zubun-baKHt shajar hun main ki dahqan mera

pichhe bota hai mujhe pahle tabar leta hai

manzil-e-faqr-o-fana ja-e-adab hai ghafil

baadshah taKHt se yan apne utar leta hai

ganj-e-pinhan hain tasarruf mein bani-adam ke

kan se lal ye dariya se guhar leta hai

nazar aa jata hai ai gul jise ruKHsar tera

phulon se daman-e-nazzara wo bhar leta hai

aql kar deti hai insan ki jahaalat zail

maut se jaan chhupane ko sipar leta hai

yaad rakhta hai adam mein koi saghar-kash use

hichkiyan shisha-e-mai sham-o-sahar leta hai

ghairat-e-nala-o-fariyaad na kho ai 'atish'

aashna koi nahin kaun KHabar leta hai

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Himmat Se Jawan Mard Agar Leta Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Kaam Himmat Se Jawan Mard Agar Leta Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Kaam Himmat Se Jawan Mard Agar Leta Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Kaam Himmat Se Jawan Mard Agar Leta Hai in PDF.