Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata

kaba o dair mein hai kis ke liye dil jata

yar milta hai to pahlu hi mein hai mil jata

KHidmat-e-yar mein main jabki hun sail jata

kuchh na kuchh bosa o dushnam se hai mil jata

tere danton se jo hone ko muqabil jata

surat-e-ashk guhar KHak mein mil mil jata

phal mila hai ye teri tegh se hum ko ai turk

phuT ki tarah har ek zaKHm hai khil khil jata

ruKH ke hote hue DhunDa na dahan ka mazmun

sahal ko chhoD ke kyun jaanib-e-mushkil jata

par to katre hain yaqin hai ki chhuri bhi phere

zamzamon se mere sayyaad hai hil hil jata

zaKHm-e-kari ki teri tegh se allah-ri KHushi

raqs karta hua duniya se hai bismil jata

rah bhule hue haji hai bhaTakta nahaq

kabatullah jo jata to su-e-dil jata

tarfa rakhti hai KHarabaat-e-mughan kaifiyyat

hoshiyar aa ke hai is bazm se ghafil jata

rah mein shan-e-karimi hai teri bhar deti

phir ke KHali kisi dar se jo hai sail jata

ai saba tu hi uDa kar ruKH-e-laila dikhla

dast-e-majnun nahin ta-parda-e-mahmil jata

kaun si rahat-e-jaan ki hain ye aankhen mushtaq

kar ke andher hai wo raunaq-e-mahfil jata

aamad-e-yar ki kanon se suni hai jo KHabar

chhup ke pahlu se hai aankhon ki taraf dil jata

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata in PDF.