Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri

kaun se dil mein mohabbat nahin jaani teri

jis ko sunta hun wo kahta hai kahani teri

kuchh dahan hi nahin wahm-e-shoara ke nazdik

mu se barik kamar bhi hai gumani teri

jis ke aage se guzarta hai wo kahta hai yahi

dekhi ai ruh-e-rawan hum ne rawani teri

shisha-e-mai se koi meri zabani kah de

KHush nahin aati hai ye pamba-e-dahani teri

kya teri shan hai qurban hon ai afw-e-karim

aas rakhta hai har ek fasiq o zani teri

is KHarabi mein tere waste phirte hain KHarab

justuju hum ko hai ai kunj-e-nihani teri

ain ehsan hai mere safha-e-dil par mujh ko

ek taswir agar khinch de 'mani' teri

subh tak sham se karti hai zaban zikr-e-jamal

nind aati hai kise sun ke kahani teri

misl-e-gul hans ke kisi roz tu dil ko KHush kar

KHun rulati hai hamein ghuncha-dahani teri

naz-o-andaz-o-ada mein hai taraqqi dah-chand

fitna tifli thi qayamat hai jawani teri

kaun se ghalla ka dana tu ai dana-e-KHal

hum ne arzani mein bhi pai girani teri

garm-joshi se jalaya kare kashf o KHirman

barq ho sakti nahin shoKHi mein sani teri

jaan ki tarah se rakhta hai aziz ai gul-ru

dagh-e-dil lala ne samjha hai nishani teri

misra-e-tegh hai har misra-e-mauzun 'atish'

dekh li yar meri saif-zabani teri

(1059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri in PDF.