Koi Ishq Mein Mujhse Afzun Na Nikla
koi ishq mein mujh se afzun na nikla
kabhi samne ho ke majnun na nikla
baDa shor sunte the pahlu mein dil ka
jo chira to ek qatra-e-KHun na nikla
baja kahte aae hain hech us ko shaer
kamar ka koi hum se mazmun na nikla
hua kaun sa roz-e-raushan na kala
kab afsana-e-zulf-e-shabgun na nikla
pahunchta use misra-e-taza-o-tar
qad-e-yar sa sarw-e-mauzun na nikla
raha sal-ha-sal jangal mein 'atish'
mere samne bed-e-majnun na nikla
(1067) Peoples Rate This