Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastana Aata Hai

magar us ko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai

ulaTti hain safen gardish mein jab paimana aata hai

nihayat dil ko hai marghub bosa KHal-e-mushkin ka

dahan tak apne kab tak dekhiye ye dana aata hai

KHushi se apni ruswai gawara ho nahin sakti

gareban phaDta hai tang jab diwana aata hai

firaq-e-yar mein dil par nahin malum kya guzri

jo ashk aankhon mein aata hai so betabana aata hai

bagule ki tarah kis kis KHushi se KHak uData hun

talash-e-ganj mein jo samne virana aata hai

samajhte hain mere dil ki wo kya na-faham o nadan hain

huzur-e-shama be-matlab nahin parwana aata hai

talab duniya ko kar ke zan-muridi ho nahin sakti

KHayal-e-abru-e-himmat-e-mardana aata hai

hamesha fikr se yan aashiqana sher Dhalte hain

zaban ko apni bas ek husn ka afsana aata hai

tamasha-gah-e-hasti mein adam ka dhyan hai kis ko

kise is anjuman mein yaad KHalwat-KHana aata hai

saba ki tarah har ek ghairat-e-gul se hain lag chalte

mohabbat hai sarisht apni hamein yarana aata hai

ziyarat hogi kaba ki yahi tabir hai is ki

kai shab se hamare KHwab mein but-KHana aata hai

KHayal aaya hai aaina ka munh us mein wo dekhenge

ab uljhe baal sukhane ki KHatir shana aata hai

phansa deta hai murgh-e-dil ko dam-e-zulf-e-pechan mein

tumhaare KHal-e-ruKH ko bhi fareb-e-dana aata hai

itab o lutf jo farmao har surat se raazi hain

shikayat se nahin waqif hamein shukrana aata hai

KHuda ka ghar hai but-KHana hamara dil nahin 'atish'

maqam-e-ashna hai yan nahin begana aata hai

(1315) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastana Aata Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastana Aata Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastana Aata Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Magar Usko Fareb-e-nargis-e-mastana Aata Hai in PDF.