Mai-e-gul-rang Se Labrez Rahen Jam Safed

mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed

chashm-e-bad-bin ko kare gardish-e-ayyam safed

bas-ki us but ki tabiat hai zamane se KHilaf

subh poshak siyah hai to sar-e-sham safed

kaun si sham nahin subh hui ai maghrur

ek din hoti hai ye zulf-e-siyah-fam safed

qatra-e-ashk mein surKHi ka kahin nam nahin

lahu tera bhi hua ai dil-e-nakaam safed

dil ki taskin ko main paigham safa ka samjhun

purza kaghaz ka jo bheje wo gul-andam safed

chandni raat mein wo mah jo yaad aata hai

kaTne dauDte hain mujh ko dar-o-baam safed

wasl ki shab jo hui subh yakayak to hua

main idhar zard udhar ru-e-dilaram safed

nisbat us fitna-e-dauran se koi andha de

yar ki aankh siyah dida-e-baadam safed

kisi haalat mein nahin fikr se dushman ghafil

aafat-e-murgh hai rangin ho baadam safed

bas hai itni hi zamana ki do-rangi 'atish'

mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-e-gul-rang Se Labrez Rahen Jam Safed In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Mai-e-gul-rang Se Labrez Rahen Jam Safed is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Mai-e-gul-rang Se Labrez Rahen Jam Safed for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Mai-e-gul-rang Se Labrez Rahen Jam Safed in PDF.