Naz-o-ada Hai Tujhse Dil-aram Ke Liye

naz-o-ada hai tujh se dil-aram ke liye

ye jama qata hai tere andam ke liye

wahshat mein kabe ko jo gaya ku-e-yar se

latte junun ne jama-e-ehram ke liye

aashiq hun har tarah se gunahgar hun tera

hajat qusur ki nahin ilzam ke liye

kya kya japegi kaisa raTegi zaban use

tasbih hum ne li hai tere nam ke liye

tifli ke girye ka ye khula haal waqt-e-marg

aaghaz hi mein rote the anjam ke liye

achchha nahin muqabla us chashm-e-shoKH se

ek din shikast-e-fash hai baadam ke liye

wo naunihaal aae ilahi murad par

hasil ho puKHtagi samar-e-KHam ke liye

har-chand apna nama-e-isyan siyah ho

hoga safed subh hai har sham ke liye

namard aur mard mein itna hi farq hai

wo nan ke liye mare ye nam ke liye

misl-e-kamand apni rasai hui agar

ai qasr-e-yar bose lab-e-baam ke liye

kya chashm-e-mast-e-yar se tashbih dijiye

kaifiyyat-e-nigah nahin jam ke liye

rakhwa ke zulfen yar ne lakhon hi murgh-e-dil

paida kiye hain kashmakash-e-dam ke liye

dil mein siwae yar jagah ho na ghair ki

KHalwat sara-e-KHas nahin aam ke liye

jata hai bahr-e-ghusl jo ai KHush-dimagh tu

jalta hai ud garmi-e-hammam ke liye

'atish' jo chahe pae tawakkul ke mahkame

jo subh ko mile na rahe sham ke liye

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naz-o-ada Hai Tujhse Dil-aram Ke Liye In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Naz-o-ada Hai Tujhse Dil-aram Ke Liye is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Naz-o-ada Hai Tujhse Dil-aram Ke Liye for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Naz-o-ada Hai Tujhse Dil-aram Ke Liye in PDF.