Payambar Main Nahin Aashiq Hun Jaani

payambar main nahin aashiq hun jaani

rahe musi hi se ye lan-tarani

sulaiman hum hain ai mahbub-e-jaani

samajhte hain tujhe bilqis-e-sani

khula saude mein un zulfon ke mar kar

pareshan KHwab thi ye zindagani

ye kyun aata hai un se qad-kushi ko

gaDi jati hai sarw-e-bostani

wahi dega kabab-e-nargisi bhi

jo deta hai sharab-e-arghawani

ranga hai ishq ne kis dard-e-sar se

hamara jama-e-tan zafrani

musafir ki tarah rah KHana-bar-dosh

nahin jae-e-iqamat dar-e-fani

tere kuche ke mushtaqon ke aage

jahannam hai bahisht-e-asmani

wo mai-kash hun diya hai qabla ne

jise ghusl-e-sharab-e-arghawani

yaqin hai dida-e-barik-bin ko

kare ainak talab ye na-tawani

wo KHat hai yaadgar-e-husn-e-rafta

wo sabza hai gulistan ki nishani

nikalti munh se qasid ke nahin baat

magar laya hai paigham-e-zabani

ye musht-e-KHak ho maqbul-e-dargah

saba ki chahta hun mehrbani

liye hain bosa-e-ruKHsara-e-saf

piya hai hum ne aaine ka pani

safedi mu ki ho kafur har-chand

koi miTta hai ye dagh-e-jawani

na KHush ho farbahi-e-tan se ghafil

subuk karti hai murde ko girani

mue jo peshtar marne se wo log

kafan samjhe qaba-e-zindagani

jalati hai dil 'atish' tur ki tarah

kisi parda-nashin ki lan-tarani

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Payambar Main Nahin Aashiq Hun Jaani In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Payambar Main Nahin Aashiq Hun Jaani is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Payambar Main Nahin Aashiq Hun Jaani for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Payambar Main Nahin Aashiq Hun Jaani in PDF.