Piri Se Mera Nau Digar-haal Hua Hai

piri se mera nau digar-haal hua hai

wo qad jo alif sa tha so ab dal hua hai

maqbul mere qaul se qawwal hua hai

sufi ko ghazal sun ke meri haal hua hai

un hathon ki daulat se kaDa mal hua hai

un panw se aawaz-e-KHalKHal hua hai

alminnat o lillah ba-sad-minnat udhar se

inkar tha jis shai ka ab iqbaal hua hai

jab qatl kiya hai kisi aashiq ko to wan se

jallad ki talwar ko rumal hua hai

kis uqde ko is zulf ki khola nahin hum ne

suljhaya hai uljha hua jo baal hua hai

kis sar ko nahin yar ki raftar ka sauda

mearaj wo samjha hai jo pamal hua hai

bimar raha barson main isa-nafason mein

puchha na kisi ne kabhi kya haal hua hai

ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega

barson mein siyah nama-e-amal hua hai

jo naz kare yar saza-war hai 'atish'

KHush-ru o KHush-uslub o KHush-iqbaal hua hai

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piri Se Mera Nau Digar-haal Hua Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Piri Se Mera Nau Digar-haal Hua Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Piri Se Mera Nau Digar-haal Hua Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Piri Se Mera Nau Digar-haal Hua Hai in PDF.