Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi

surat se is ki behtar surat nahin hai koi

didar-e-yar si bhi daulat nahin hai koi

aankhon ko khol agar tu didar ka hai bhuka

chaudah tabaq se bahar neamat nahin hai koi

sabit tere dahan ko kya mantiqi karenge

aisi dalil aisi hujjat nahin hai koi

ye kya samajh ke kaDwe hote hain aap hum se

pi jaega kisi ko sharbat nahin hai koi

main ne kaha kabhi to tashrif lao bole

mazur rakhiye waqt-e-fursat nahin hai koi

hum kya kahen kisi se kya hai tariq apna

mazhab nahin hai koi millat nahin hai koi

dil le ke jaan ke bhi sail jo ho to hazir

hazir jo kuchh hai us mein hujjat nahin hai koi

hum shaeron ka halqa halqa hai aarifon ka

na-ashna-e-mani surat nahin hai koi

diwanon se hai apne ye qaul us pari ka

KHaki o aatishi se nisbat nahin hai koi

hazhda hazar aalam dam-bhar raha hai tera

tujh ko na chahe aisi KHilqat nahin hai koi

nazan na husn par ho mehman hai chaar din ka

be-e'tibar aisi daulat nahin hai koi

jaan se aziz dil ko rakhta hun aadmi hun

kyun-kar kahun main mujh ko hasrat nahin hai koi

yun bad kaha karo tum yun mal kuchh na samjho

hum sa bhi KHair-KHwah-e-daulat nahin hai koi

main panch waqt sajda karta hun is sanam ko

mujh ko bhi aisi-waisi KHidmat nahin hai koi

ma-o-shuma kah-o-mah karta hai zikr tera

is dastan se KHali sohbat nahin hai koi

shahr-e-butan hai 'atish' allah ko karo yaad

kis ko pukarte ho hazrat nahin hai koi

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi in PDF.