Tar-tar-e-pairahan Mein Bhar Gai Hai Bu-e-dost

tar-tar-e-pairahan mein bhar gai hai bu-e-dost

misl-e-taswir-e-nihaali main hun ham-pahlu-e-dost

chehra-e-rangin koi diwan-e-rangin hai magar

husn-e-matla hain masin matla hai saf abru-e-dost

hijr ki shab ho chuki roz-e-qayamat se daraaz

dosh se niche nahin utre abhi gesu-e-dost

dur kar dil ki kudurat mahw ho didar ka

aaine ko sina safi ne dikhaya ru-e-dost

wah-re shane ki qismat kis ko ye malum tha

panja-e-shal se khulenge uqda-ha-e-mu-e-dost

dagh-e-dil par KHair guzri to ghanimat jaaniye

dushman-e-jaan hain jo aankhen dekhti hain su-e-dost

do marenge zaKHm-e-kari se to hasrat se hazar

chaar talwaron mein shal ho jaega bazu-e-dost

farsh-e-gul bistar tha apna KHak par sote hain ab

KHisht zer-e-sar nahin ya takiya tha zanu-e-dost

yaad kar ke apni barbaadi ko ro dete hain hum

jab uDati hai hawa-e-tund KHak-e-ku-e-dost

us bala-e-jaan se 'atish' dekhiye kyunkar bane

dil siwa shishe se nazuk dil se nazuk KHu-e-dost

(1137) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tar-tar-e-pairahan Mein Bhar Gai Hai Bu-e-dost In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Tar-tar-e-pairahan Mein Bhar Gai Hai Bu-e-dost is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Tar-tar-e-pairahan Mein Bhar Gai Hai Bu-e-dost for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Tar-tar-e-pairahan Mein Bhar Gai Hai Bu-e-dost in PDF.