Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai

taza ho dimagh apna tamanna hai to ye hai

us zulf ki bu sunghiye sauda hai to ye hai

qainchi nahin chalwai mere nama ne kis par

parwar kabutar ho jo anqa hai to ye hai

kuchh sarw ka rutba hi nahin qad se tere past

shamshad-o-sanobar se bhi baala hai to ye hai

milta jo nahin yar to hum bhi nahin milte

ghairat ka ab apne bhi taqaza hai to ye hai

ai nur-e-nazar moajaza-e-husn se tere

andhe bhi kahenge ki masiha hai to ye hai

mahshar ko bhi didar ka parda na kare yar

aashiq ko jo andesha-e-farda hai to ye hai

bina hon jo aankhen to ruKH-e-yar ko dekhen

nazzara ke qabil jo tamasha hai to ye hai

mazmun dahan-e-yar ka kya fikr se nikle

la-hal jo moammon mein muamma hai to ye hai

gah yaad-e-sanam dil mein hai gah yaad-e-ilahi

kaba hai to ye hai jo kalisa hai to ye hai

mashuq o mai o KHana-e-KHali o shab-e-mah

aashiq ke liye hasil-e-duniya hai to ye hai

diwane na kyun-kar KHal-o-zanjir pahante

sarkar-e-junun ka jo sarapa hai to ye hai

dil ke liye hai ishq to dil ishq ki KHatir

mai hai to ye hai aur jo mina hai to ye hai

diwana-e-qad ke kabhi nalon ko to suniye

hangama-e-mahshar ka sa ghaugha hai to ye hai

sabit dahan-e-yar dalilon se kar 'atish'

hujjat ki jo shaer ke liye ja hai to ye hai

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai in PDF.