Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya

turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya

andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya

gul se jo samna tere ruKHsar ne kiya

mizhgan ne wo kiya ki jo kuchh KHar ne kiya

naz-o-ada ko tark mere yar ne kiya

ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya

afshan se kushta abru-e-KHamdar ne kiya

jauhar se kaam yar ki talwar ne kiya

qamat teri dalil qayamat ki ho gai

kaam aaftab-e-hashr ka ruKHsar ne kiya

meri nigah ke rashk se rauzan ko chandi

raKHna ye qasr-e-yar ki diwar ne kiya

sauda-e-zulf mein mujhe aaya KHayal-e-ruKH

mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya

hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah gai

miTha na munh ko tere namak-KHwar ne kiya

fursat mili na girya se ek lahza ishq mein

pani mere lahu ko is aazar ne kiya

simab ki tarah se shagufta hua mizaj

iksir mujh ko mere KHaridar ne kiya

qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari

majbur sarw ko teri raftar ne kiya

hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar

diwar hum ko yar ki diwar ne kiya

patthar ke aage sajda kya tu ne barhaman

kafir tujhe tere but-e-pindar ne kiya

kawish mizha ne ki ruKH-e-dilbar ki did mein

pa-e-nigah se bhi KHalish KHar ne kiya

aashiq ki tarah main jo laga karne bandagi

aazad dagh de ke KHaridar ne kiya

eajaz ka ojab lab-e-jaan-baKHsh se nahin

paighambar us ko mushaf-e-ruKHsar ne kiya

turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech mein

kis kis lapeT se teri dastar ne kiya

aankhon ko band kar ke tasawwur mein bagh ke

gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya

nalan hua main us ruKH-e-rangin ko dekh kar

bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya

hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki

kis husn se ada use takrar ne kiya

ulTa udhar naqab to parde paDe idhar

aankhon ko band jalwa-e-didar ne kiya

lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj dur

parhez bhi dawa hai jo bimar ne kiya

na-saf aaina ho to bad-tar hai sang se

raushan ye haal hum ko jalakar ne kiya

halqa ki naf-e-yar ke tarif kya karun

gol aisa daera nahin parkar ne kiya

diwan-e-husn-e-yar ki 'atish' jo sair ki

diwana bait abru-e-KHamdar ne kiya

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya in PDF.