Unnab-e-lab Ka Apne Maza Kuchh Na Puchhiye

unnab-e-lab ka apne maza kuchh na puchhiye

kis dard ke hain aap dawa kuchh na puchhiye

naz-o-niyaz-e-ashiq-o-mashuq kya kahun

ijz o ghurur shah o gada kuchh na puchhiye

KHushbu se ho raha hai moattar dimagh jaan

chalti hai kis taraf ki hawa kuchh na puchhiye

kya kya nigah phisalti hai ruKHsar-e-yar par

kaisa ye aaina hai safa kuchh na puchhiye

jama se bahar apne jo hun main ajab nahin

khole hain kis ke band-e-qaba kuchh na puchhiye

aaina le ke kijiye itna mushahida

hum se suluk-e-sharm-o-haya kuchh na puchhiye

allah ne kiya hai kise baadshah-e-husn

sar par hai kis ke zill-e-huma kuchh na puchhiye

rangin kiye hain yar ne jaise ki dast-o-pa

kya rang la rahi hai hina kuchh na puchhiye

na-guftani hai ishq-e-butan ka muamla

har haal mein hai shukr-e-KHuda kuchh na puchhiye

kya shai hai wo kamar jo guzarta hai ye KHayal

aati hai ghaib se ye sada kuchh na puchhiye

kotah KHal-e-ru-e-munawwar hai kis qadar

kitni hai zulf-e-yar rasa kuchh na puchhiye

'atish' gunah-e-ishq ki tazir kya kahun

mushfiq jo kuchh hai us ki saza kuchh na puchhiye

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unnab-e-lab Ka Apne Maza Kuchh Na Puchhiye In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Unnab-e-lab Ka Apne Maza Kuchh Na Puchhiye is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Unnab-e-lab Ka Apne Maza Kuchh Na Puchhiye for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Unnab-e-lab Ka Apne Maza Kuchh Na Puchhiye in PDF.