Wahi Chitwan Ki KHun-KHwari Jo Aage Thi So Ab Bhi Hai

wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai

teri aankhon ki bimari jo aage thi so ab bhi hai

wahi nashw-o-numa-e-sabza hai gor-e-ghariban par

hawa-e-charKH-e-zangari jo aage thi so ab bhi hai

talluq hai wahi ta-haal un zulfon ke saude se

salasil ki giraftari jo aage thi so ab bhi hai

wahi sar ka paTakna hai wahi rona hai din bhar ka

wahi raaton ki bedari jo aage thi so ab bhi hai

riwaj-e-ishq ke aain wahi hain kishwar-e-dil mein

rah-o-rasm-e-wafa jari jo aage thi so ab bhi hai

wahi ji ka jalana hai pakana hai wahi dil ka

wo us ki garm-bazari jo aage thi so ab bhi hai

niyaz-e-KHadimana hai wahi fazl-e-ilahi se

buton ki naz-bardari jo aage thi so ab bhi hai

firaq-e-yar mein jis tarah se marta tha marta hun

wo ruh o tan ki be-zari jo aage thi so ab bhi hai

wahi sauda-e-kakul ka hai aalam jo ki sabiq tha

ye shab bimar par bhaari jo aage thi so ab bhi hai

junun ki garm-joshi hai wahi diwanon se apni

wahi daghon ki gul-kari jo aage thi so ab bhi hai

wahi bazar-e-garmi hai mohabbat ki hanuz 'atish'

wo yusuf ki KHaridari jo aage thi so ab bhi hai

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Chitwan Ki KHun-KHwari Jo Aage Thi So Ab Bhi Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Wahi Chitwan Ki KHun-KHwari Jo Aage Thi So Ab Bhi Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Wahi Chitwan Ki KHun-KHwari Jo Aage Thi So Ab Bhi Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Wahi Chitwan Ki KHun-KHwari Jo Aage Thi So Ab Bhi Hai in PDF.