Wahshat-e-dil Ne Kiya Hai Wo Bayaban Paida

wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida

saikDon kos nahin surat-e-insan paida

sahar-e-wasl karegi shab-e-hijran paida

sulb-e-kafir hi se hota hai musalman paida

dil ke aaine mein kar jauhar-e-pinhan paida

dar-o-diwar se ho surat-e-jaanan paida

KHar daman se ulajhte hain bahaar aai hai

chaak karne ko kiya gul ne gareban paida

nisbat us dast-e-nigarin se nahin kuchh is ko

ye kalai to kare panja-e-marjaan paida

nashsha-e-mai mein khuli dushmani-e-dost mujhe

aab-e-angur ne ki aatish-e-pinhan paida

bagh sunsan na kar in ko pakaD kar sayyaad

baad muddat hue hain murgh-e-KHush-ilhan paida

ab qadam se hai mere KHana-e-zanjir aabaad

mujh ko wahshat ne kiya silsila-jumban paida

ro ke aankhon se nikalun mein buKHar-e-dil ko

kar chuke abr-e-mizha bhi kahin baran paida

nara-zan kunj-e-shahidan mein ho bulbul ki tarah

aab-e-ahan ne kiya hai ye gulistan paida

naqsh un ka na kisi lal se lab par baiTha

mere munh mein hue the kis liye dandan paida

KHauf na-fahmi-e-mardum se mujhe aata hai

gaw KHar hone lage surat-e-insan paida

ruh ki tarah se daKHil ho jo diwana hai

jism-e-KHaki samajh is ko jo ho zindan paida

be-hijabon ka magar shahr hai aqlim-e-adam

dekhta hun jise hota hai wo uryan paida

ek gul aisa nahin howe na KHizan jis ki bahaar

kaun se waqt hua tha ye gulistan paida

mojid us ki hai siyah-rozi hamari 'atish'

hum na hone to na hoti shab-e-hijran paida

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat-e-dil Ne Kiya Hai Wo Bayaban Paida In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Wahshat-e-dil Ne Kiya Hai Wo Bayaban Paida is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Wahshat-e-dil Ne Kiya Hai Wo Bayaban Paida for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Wahshat-e-dil Ne Kiya Hai Wo Bayaban Paida in PDF.