Wahshi The Bu-e-gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum

wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum

nikle to phir ke aae na apne makan mein hum

sakin hain josh-e-ashk se aab-e-rawan mein hum

rahte hain misl-e-mardum-e-abi jahan mein hum

shaida-e-ru-e-gul na to shaida-e-qadd-e-sarw

sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum

nikli labon se aah ki gardun nishana tha

goya ki tir joDe hue the kaman mein hum

aaluda-e-gunah hai apna riyaz bhi

shab kaTte hain jag ke mugh ki dukan mein hum

himmat pas-az-fana sabab-e-zikr-e-KHair hai

murdon ka nam sunte hain har dastan mein hum

saqi hai yar-e-mah-liqa hai sharab hai

ab baadshah-e-waqt hain apne makan mein hum

nairang-e-rozgar se aiman hain shakl-e-sarw

rakhte hain ek haal bahaar-o-KHizan mein hum

duniya o aaKHirat mein talabgar hain tere

hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum

paida hua hai apne liye boriya-e-faqr

ye nistan hai sher hain is nistan mein hum

KHwahan koi nahin to kuchh is ka ojab nahin

jins-e-giran-baha hain falak ki dukan mein hum

likkha hai kis ke KHanjar-e-mizhgan ka us ne wasf

ek zaKHm dekhte hain qalam ki zaban mein hum

kya haal hai kisi ne na puchha hazar haif

nalan rahe jaras ki tarah karwan mein hum

aaya hai yar fatiha paDhne ko qabr par

bedar baKHt-e-KHufta hai KHwab-e-giran mein hum

shagird tarz-e-KHanda-zani mein hai gul tera

ustad-e-andalib hain soz-o-fughan mein hum

bagh-e-jahan ko yaad karenge adam mein kya

kunj-e-qafas se tang rahe aashiyan mein hum

allah-re be-qarari-e-dil hijr-e-yar mein

gahe zamin mein the to gahe aasman mein hum

darwaza band rakhte hain misl-e-hubab-e-bahr

qufl-e-durun-KHana hain apne makan mein hum

'atish' suKHan ki qadr zamane se uTh gai

maqdur ho to qufl laga den zaban mein hum

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshi The Bu-e-gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Wahshi The Bu-e-gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Wahshi The Bu-e-gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Wahshi The Bu-e-gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum in PDF.