Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua

wo naznin ye nazakat mein kuchh yagana hua

jo pahni phulon ki baddhi to dard-e-shana hua

shahid naz-o-ada ka tere zamana hua

uDaya mehndi ne dil chor ka bahana hua

shab us ke afai-e-gesu ka jo fasana hua

hawa kuchh aisi bandhi gul charagh-e-KHana hua

na zulf-e-yar ka KHaka bhi kar saka mani

har ek baal mein kya kya na shaKHsana hua

tawangaron ko mubarak ho sham-e-kafuri

qadam se yar ke raushan gharib-KHana hua

gunahgar hain mehrab-e-tegh ke sajid

jhukaya sar to ada farz-e-panj-gana hua

ghurur-e-ishq ziyaada ghurur-e-husn se hai

idhar to aankh bhari dam udhar rawana hua

dikha de zahid-e-maghrur ko bhi ai sanam aankh

jamal-e-hur ka had se siwa fasana hua

bhara hai shisha-e-dil ko nai mohabbat se

KHuda ka ghar tha jahan wan sharab-KHana hua

hawae tund na chhoDe mere ghubar ka sath

ye gard-e-rah kahan KHak-e-astana hua

KHuda ke waste kar yar chin-e-abru dur

baDa hi aib laga jis kaman mein KHana hua

hua jo din to hua us ko pas ruswai

jo raat aai to phir nind ka bahana hua

na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun

laga ke aag mujhe karwan rawana hua

nigah-e-naz-e-butan se na chashm-e-rahm bhi rakh

kisi ka yar nahin fitna-e-zamana hua

asar kiya tapish-e-dil ne aaKHir us ko bhi

raqib se bhi mera zikr ghaebana hua

hawae tund se patta agar koi khaDka

samand-e-baad-e-bahaari ka taziyana hua

zaban-e-yar KHamoshi ne meri khulwai

main qufl ban ke kalid-e-dar-e-KHazana hua

kiya jo yar ne kuchh shaghl-e-barq-andazi

charagh-e-zindagi-e-KHizar tak nishana hua

raha hai chah-e-zaqan mein mera dil-e-wahshi

kunen mein jangali kabutar ka aashiyana hua

KHuda daraaz kare umr-e-charKH-e-nili ko

ye be-kason ke mazaron ka shamiyana hua

nahin hai misl-e-sadaf mujh sa dusra kam-baKHt

nasib-e-ghair mere munh ka aab-o-dana hua

hinai hathon se choTi ko kholta hai yar

kahan se panja-e-marjaan harif-e-shana hua

dikhai chashm-e-ghazalan ne halqa-e-zanjir

hamein to gosha-e-sahra bhi qaid-KHana hua

hamesha sham se ham-sae mar rahe 'atish'

hamara nala-e-dil gosh ko fasana hua

(2231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua in PDF.