Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai

ye kis rashk-e-masiha ka makan hai

zamin yan ki chahaarum aasman hai

KHuda pinhan hai aalam aashkara

nihan hai ganj virana ayan hai

dil-e-raushan hai raushan-gar ki manzil

ye aaina sikandar ka makan hai

takalluf se bari hai husn-e-zati

qaba-e-gul mein gul-buTa kahan hai

pasijega kabhi to dil kisi ka

hamesha apni aahon ka dhuan hai

ba-rang-e-bu hun gulshan mein main bulbul

baghal ghunche ke mera aashiyan hai

shagufta rahti hai KHatir hamesha

qanaat bhi bahaar-e-be-KHizan hai

chaman ki sair par hota hai jhagDa

kamar meri hai dast-e-baghban hai

bahut aata hai yaad ai sabr-e-miskin

KHuda KHush rakkhe tujh ko tu jahan hai

ilahi ek dil kis kis ko dun main

hazaron but hain yan hindostan hai

yaqin hota hai KHushbui se is ke

kisi gul-ru ka ghuncha itr-dan hai

watan mein apne ahl-e-shauq ki tarah

safar mein roz-o-shab reg-e-rawan hai

sahar howe kahin shabnam kare kuch

gul o bulbul ka dariya darmiyan hai

saadat-mand qismat par hain shakir

huma ko maghz-e-baadam ustuKHwan hai

dil-e-betab jo is mein gire hain

zaqan jaanan ka para ka kuan hai

jaras ke sath dil rahte hain nalan

mere yusuf ka aashiq karwan hai

na kah rindon ko harf-e-saKHt waiz

durusht ahl-e-jahannum ki zaban hai

qad-e-mahbub ko shaer kahen sarw

qayamat ka ye ai 'atish' nishan hai

(1502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai in PDF.