Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

hum aur bulbul-e-betab guftugu karte

payambar na mayassar hua to KHub hua

zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte

meri tarah se mah-o-mehr bhi hain aawara

kisi habib ki ye bhi hain justuju karte

hamesha rang-e-zamana badalta rahta hai

safed rang hain aaKHir siyah mu karte

luTate daulat-e-duniya ko mai-kade mein hum

tilai saghar-e-mai nuqrai subu karte

hamesha main ne gareban ko chaak chaak kiya

tamam umr rafugar rahe rafu karte

jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam

asir hone ki aazad aarzu karte

bayaz-e-gardan-e-jaanan ko subh kahte jo hum

sitara-e-sahari takma-e-gulu karte

ye kabe se nahin be-wajh nisbat-e-ruKH-e-yar

ye be-sabab nahin murde ko qibla-ru karte

sikhate nala-e-shab-gir ko dar-andazi

gham-e-firaq ka us charKH ko adu karte

wo jaan-e-jaan nahin aata to maut hi aati

dil-o-jigar ko kahan tak bhala lahu karte

na puchh aalam-e-bargashta-talai 'atish'

barasti aag jo baran ki aarzu karte

(1742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte in PDF.