Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se

asr-e-jadeed aaya baDi dhum-dham se

lekin shikast kha gaya pichhle nizam se

karta hai koi tark-e-talluq bhi is tarah

mahrum ho gaya hun payam-o-salam se

zardar ke salam mein sabqat sabhi ki hai

mahrum muflisi hai jawab-e-salam se

kis ki sada fazaon mein gunji hai chaar-su

kis ne mujhe pukara hai bachpan ke nam se

bechainiyon mein raat guzarti hai is tarah

aaseb koi gher le jaise ki sham se

ab ba-shuur log bhi ye sochne lage

rakhna hai hum ko kaam faqat apne kaam se

saffakiyan baDhin to darinda-sifat bana

insan gira hai aadamiyyat ke maqam se

barish nahin hui to mujhe faeda hua

mahfuz hai makan mera inhidam se

halki hansi ne fikr ko zau-bar kar diya

phuTi kiran ki tarah lab-e-tashna-kaam se

ye to hai fazl-e-rab ki tarannum hua nasib

lekin bayaz KHali hai KHud ke kalam se

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se In English By Famous Poet Haidar Ali Jafri. Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se is written by Haidar Ali Jafri. Read famous Poem Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se for youth and Student by Haidar Ali Jafri. Free Download Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se in PDF.