Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota

hota fankar-e-jadid aur na shaer hota

laghw be-bahr KHayalat ka mazhar hota

aur baDh jati jo ibham ki nudrat mujh mein

ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota

kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi

KHub hota jo main dushman ke barabar hota

kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata

phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota

mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki inayat hoti

kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota

yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne

but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota

khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush

mere qabze mein agar KHama-e-shahpar hota

apni KHaliq ka mafhum samajh pata agar

daera hota jahan aur main mehwar hota

log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte

neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota

dasht ki aab-o-hawa ne diya kanTon ka libas

main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota

KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein

na haweli na mahal aur na koi ghar hota

tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata

meri aaankhon ke jo qabze mein samundar hota

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota In English By Famous Poet Haidar Ali Jafri. Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota is written by Haidar Ali Jafri. Read famous Poem Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota for youth and Student by Haidar Ali Jafri. Free Download Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota in PDF.