Ishq Ki Anjuman Ki Baat Karen

ishq ki anjuman ki baat karen

phir kisi gul-badan ki baat karen

bhul bhi jaen tirgi-e-hayat

muskuraati kiran ki baat karen

is jahan se KHizan ka daur gaya

lahlahate chaman ki baat karen

kya zaruri hai ju-e-shir ki baat

kyun na gang-o-jaman ki baat karen

surKH aanchal mein kasmasai hui

subh ki is dulhan ki baat karen

sathiyo gao inqilabi git

aao dar-o-rasan ki baat karen

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Anjuman Ki Baat Karen In English By Famous Poet Haidar Ali Jafri. Ishq Ki Anjuman Ki Baat Karen is written by Haidar Ali Jafri. Read famous Poem Ishq Ki Anjuman Ki Baat Karen for youth and Student by Haidar Ali Jafri. Free Download Ishq Ki Anjuman Ki Baat Karen in PDF.