Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai

mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

kisi ka bheja payambar meri talash mein hai

hun main hi nuqta-e-aghaz iKHtitam-e-hisar

har ek hisar ka mehwar meri talash mein hai

mili hai auj KHudi ko yaqin-e-mohkam se

suna hai marzi-e-dawar meri talash mein hai

wo ek sai jise kahte hain hum sabhi idrak

wo mere jism ke andar meri talash mein hai

sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko

kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai

mere KHuda main hun tujh se panah ka talib

mere gunahon ka lashkar meri talash mein hai

mere hi lams se ghunchon ne pai shadabi

chaman mein khilta gul-e-tar meri talash mein hai

kahin se sun liya hai meri pyas ka charcha

tabhi se pyasa samundar meri talash mein hai

laga hai sochne ahd-e-rawan ka 'marhab' bhi

bachunga kis tarah 'haidar' meri talash mein hai

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Jafri. Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai is written by Haidar Ali Jafri. Read famous Poem Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai for youth and Student by Haidar Ali Jafri. Free Download Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai in PDF.